Dar se jaan nikal gayi

A true story by UntoldWindow · Horror & ghosts

Basically, bachpan se hostel me rehne ki wajah se mera bhooto ki baato me kuch zyada vishwas nhi tha . Sab baate mzaak me hua krti thi or mujhe koi dar bhi nahi lagta tha .

Par neet ki preparation ke time Mai dehradun shift ho gyi . Waha bhi hostel me hi rehte the par wo jagah thodi ajeeb thi mano pure sheher se dur or itna koi chehel pehel bhi nhi .

August September ka time tha , mai late Tak pdhai krti thi or 3 bje ke aas paas soya krti thi . Pta nhi uss din mujhe neend nhi aa rhi thi , syd mai zyada soch rhi thi . Tbhi achanak meri window ke bahar se billi ki awaz aayi . Mujhe bhut dar lga isliye mai hadbada kar Sogyi .

Neend me mujhe bhut ajeeb sapne aa rhe the . Bhut gande sapne , mano koi hospital me admit ho or bhut sari dead bodies. Mai dar ke uth gyi or mene dekha ki koi saya mere sarhane kadha hai . Uska chehra mai nhi dekh paayi par mene uski mojudgi mehsus kari . I was able to appreciate her balloon sleeves. Uss din ke baad se mai inn sab cheezo ko mzaak nhi maanti . Tb se aaj tk mere sath humesha 1 hanuman chalisa hoti hai bag me chahe mai kahi bhi rahu , kahi bhi jau .